LolBabu.in - Whatsapp Status in Hindi

पाए नए व्हात्सप्प हिंदी स्टेटस, शायरी, स्लोगन्स और भारतीय त्योहारों के मैसेज, फ़ोटो और शुभकामनाएं सन्देश वो भी अपनी मनपसंद भाषा हिंदी में.

January 20, 2018

10 Killer Ideas English Sikhne Ke


Dosto aaj ke time mein har koi hindi bol sakta hai, lekin jab baat aati hai English bolne ki tab sab ke paseene chut jate hain. Magar dosto ab aisa nahi hoga. Aaj ke iss article me hum baat karenge '10 Killer Ideas English Sikhne Ke' jinse aap English bolna sikh sakte hain woh bhi bina kisi grammer ke. Iss article ka hamara purpose hi yahi hai ki logon ko apne language me English sikhne me help karna. Umeed hai isse aapko English speaking me kaafi help milega.

Dosto English language aaj ki zarurat ban gayi hai, aajkal aisa koi place nahi jahan hum English language ka use nahi karte. toh chaliye jaan lete hai 10 killer ideas jinse aapki English speaking improve ho sakti hai.

English Kaise Bole Improve Kare 


1. Make Better Environment For English
English sikhne aur bolne se pehle apne aas pas ka vatavaran bhi waisa banana zaruri hai. jaise dost aise ho jo English bolne ya sikhne me interest rakhte ho. saath hi aise log hone chahiye jinke sath English me baat kar sake aur woh English sikhne me help kar sake.

2. Watch Hindi Movie With English Subtitles
Jab bhi koi movie dekho tab English subtitle me ho jisse ki words ko samajhne me help mil sake, jab bhi koi dialogue ya kuch bhi bolega tab uske niche likhe subtitle mein dekh kar apni English improve kar sake.

3. Read English Newspapers
Newspaper bhi English wala padhe aur zor zor se bol kar padhe, mann mein padhne se zyada acha hai bol kar padhna. isse words ke pronounciation me kaafi help milega. saath hi aise books bhi padhe jisme picture ke saath English bhi likhe ho. ye bhi English sikhne ka ek zabardast tarika hai.

4. Speaking Front Of Mirror
Mirror ke samne English bole jisse aapme ek alag sa confidence bhar jayega aur logon ke saamne bolne me shyness dur ho jayega. saath hi jab bhi english bole pure confidence ke sath bole jisse agar kabhi bich mein galat words bhi bole toh koi fark nai padega.

5. Make Short Sentence In Mind
Jab bhi koi vichar kare ya bole usse pehle mann me pura sentence bana le jisse words me galti hone ya fasne ka dar nahi rahega.

6. Practice Saying Tongue Twisters Words
Tongue twister words ko baar baar bole jisse English ke sahi speaking me help mil sake aur aapki English improve ho sake. Isliye tough se tough English words ko bolne ki koshish kare.

7. Repeat The Phrases Over And Over
Kisi bhi language ko sikhne se sabse acha tarika hota hai kisi cheez ko mann me puri tarah ratt lena. jisse woh kabhi bhi mann se na nikal sake. isliye har word ko ek special word me badal de jisse ki aapko woh word samajhne mein koi pareshani na ho.

8. Take Youtube And Internet Help
Dosto jaisa ki aap jante hain, internet kuch bhi sikhne ka sabse acha source hai. isliye English sikhne ke liye google ya youtube ki help le aur video dekh kar sikhe ki English kaise bole aur kaise apne confidence ko badhaye taaki aapko English samajhne aur bone mein help mil sake.

9. Use English Speaking App
Internet ke baad ab baari aati hao mobile ki ji haan dosto English bolne ke liye google play store me aise bahut saari apps hai jina use kar aap aasani se English bolna sikh sakte hai. toh aaj hi play store se koi acha English app download karein. Main aapko 'BYJUS Learning App'' suggest karunga kyunki yahan aapko har type ka important informationa milega jisse aapko English learning me bhi kaafi help milega.

10. Be Confident When Speak
English bolne se jitna effect nahi padta usse jyada effect iss baat se padta hai ki aap kis confidence ke saath English bol rahe hain. Agar pure confidence ke saath jhuth bhi bole toh log sach maan lete hain. aise mein apni confidence power ko increase karein aur aaj hi English bolna shuru karein.

Doston agar aapko hamara ye article useful laga toh ise social media ke jariye share karna na bhuliyega. ''10 Killer Ideas English Sikhne Ke'' bare mein aapka kya kehna hai niche comment box mein zarur likhe. Thank you.