LolBabu.in - Whatsapp Status in Hindi

पाए नए व्हात्सप्प हिंदी स्टेटस, शायरी, स्लोगन्स और भारतीय त्योहारों के मैसेज, फ़ोटो और शुभकामनाएं सन्देश वो भी अपनी मनपसंद भाषा हिंदी में.

May 6, 2018

CBSE 10th Aur 12th Result Kaise Check Kare (cbse.nic.in)

Hello friends, kaafi dino ke wait karne ke baad ab CBSE 12th ka Result 26 May ko kabhi bhi kiya ja sakta hai. CBSE Results ko le kar laakhon students aur unki family ko intezar rehta hai ki kab 12th ka Result aayega. Magar ab time kaafi nazdik hai kyunki media reports ke anusar 26th May ko 12:30pm ke baad kabhi bhi CBSE 12th Result aa sakta hai. Result aap cbseresults.nic.in ya cbse.nic.in par visit kar dekh sakte hai. Abhi filhal CBSE 12th ka result aayea, ummed hai agle kuch dino me yani ki 30th May se pehle CBSE 10th ka bhi result aa jayega.


Iss saal CBSE 12th exam me 13 lakh ke aas pas students appear hue the aur CBSE 10th me karib 17 lakh ke aas pas.

''Kaise Check Kare CBSE 10th Aur 12th ka Result''

Step 1 ➧ Sabse pehle cbse ki official website cbseresults.nic.in ya cbse.nic.in par jaaye.

Step 2 ➧ Ab aapke samne Class 12th/Class 10th Exam Results par click kare.

Step 3 ➧ Ab aapko apna Roll Number aur DOB dalna hai aur iske baad Submit kar de.

Step 4 ➧ Ab aapka result aapke mobile/desktop/tablet screen par hoga aur Print Out par click karke apna Result Download kare aur uska Print Out le le.

Note : Agar aap upar diye website se Result link open kar rahe hain aur link open nahi ho raha toh iska matlab ye hai ki Website ke server par heavy load ke wajah se site open nahi ho pa raha. Kyunki ek time pe kaafi log iss website par Results ke liye visit kar rahe. Isliye aap chahe toh IndiaResults.Com par bhi visit kar aap aasani se CBSE 10th aur 12th ke Result check kar sakte hain.

Hamari ye wish hai ki aapka Result acha ho aur aapko aapke future ke liye dhero shubhkamnaye. Best of luck!!